Period Ke Kitne din baad Pregnancy hoti hai – Pregnant Kaise Hote Hai
- Har pati patni is question ka answer janna chahte hain ki period ke kitne din baad pregnancy hoti hai. Aaj is article mein hum isi swal ka jwab aapko btane jar he hain. Jyadatar log is bat ko nahi jante hain ki kab sambhog karne se pregnancy hoti hai. Lekin is swal ka jwab janna bhut jaruri hai. Purush ke shukranu ka mahila ke garbh mein jane se garbhdharan hota hai.
- Jab purush ka shukranu mahila ke andanu se milta hai to garbh thaharta hai. Waise to garbh na thaharne ke kai karan ho skte hain, lekin sahi samay par sambhog nhi karna bhi iska ek karan ho skta hai. Aaiye jante hain period ke kitne din baad pregnancy hoti hai aur koun-koun si baton ka dhyan rakh kar aap aasani se pregnant ho skti hain. Aur koun koun si aise karan hote hain, jo pregnant hone mein proble create karte hain.
- Aapke period ki bleeding jis din band hoti hai, uske thik agle din sambhog karne se pregnancy ke chance jyada hote hain. Example: agar aapke period ki bleeding aaj khatm hui hai, to kal sex karne se aapke pregnant hone ke chance sabse jyada honge.
- Periods ke turant bad sex karne se phle apni saf-safai ka pura dhyan rakhein. Periods puri tarah khatm ho jane dein. Tabhi garbhdharan ki or badhein.
Periods start hone wale din se 16th din tak sambhog karne se pregnancy ki sambhawna sabse jyada hoti hai.
- Waise pregnancy kisi bhi din asurakshit sex karne se ho skti hai. Isliye agar aap baby chahte hain to samay samay par sambhog karte rahein. Aur agar aap pregnancy nhi chahte hain to bina protection ke kabhi sambhog na karein.
- Is bat ka dhyan rkhein ki bar bar garbhpat mahila ko nuksan pahunchata hai aur bad mein pregnant hone mein bhi samasya khadi kar skta hai.
- Aur agar aap pregnancy chate hain to phle women ko healthy hona chahiye. Agar aap baby ki planning kar rahe hain, to aapko pehle hi kisi doctor ki salah leni chahiye. Taki aapka baby healthy ho.
- ovulation period ke douran pregnancy ke chance sabse jyada hote hain. Apne ovulation period ka pta lgane ke liye aapko kisi doctor se contact karna chahiye.
- Agar purush apni mahila sathi ko sahwas ke douran orgasm tak pahunchata hai, to isse pregnancy ke chance bahut badh jate hain. Isliye male partner ko chahiye ki aap apne female partner ko orgasm tak pahunchayein.
- Morning ka time pregnancy ke liye bhut achchha hota hai.
- Agar garbh thaharne mein koi samasya ho to bhi doctor se contact krein. Agar koi khas jankari janni ho to bhi doctor turant meinl.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें